Har aant ek naayi Shuruat hai…

Ek kagaz ki kashti bhi aakhri tak ladti hai…

jaane aanjaane apna manzar tay karti hai…

kya ho aagar wo haar maan le?

humare bachpan ki wo suhani si koshish maang le?

khadi hokar khud hi kahe nahi karna mujhe ye kaam…

nai behna mujhe banke tumhari khushiyon ka paigaam…

meri shuruat mein he aant ka nazara hai…

kya phir bhi mere behna gawara hai?

Gir kar khade hona hi har ek ki kismat ka kadwa meetha sach saara hai…

phir naa jane kyu humein dobara koshish karna na gawara hai…


Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

5 × four =